badan churaate hue ruh mein samaya kar
main apni dhup mein soya hua hun saya kar
ye aur baat ki dil mein ghana andhera hai
magar zaban se to chandni luTaya kar
chhupa hua hai teri aajizi ke tarkash mein
ana ke tir isi zahr mein bujhaya kar
koi sabil ki pyase panah mangte hain
safar ki rah mein parchhaiyan bichhaya kar
KHuda ke waste mauqa na de shikayat ka
ki dosti ki tarah dushmani nibhaya kar
ajab hua ki girah paD gai mohabbat mein
jo ho sake to judai mein ras aaya kar
nae charagh jala yaad ke KHarabe mein
watan mein raat sahi raushni manaya kar
Ghazal
Badan churaate hue ruh mein samaya kar
Saqi Faruqi