اردو हिंदी
Badalne rang sikhlae jahan ko | Shaahi Shayari
badalne rang sikhlae jahan ko

Ghazal

Badalne rang sikhlae jahan ko

Bayan Meeruti

;

badalne rang sikhlae jahan ko
kahun kya surma ko wasma ko pan ko

diya hai din-o-dil tab-o-tawan ko
nigah ko zulf ko til ko dahan ko

kiya phika mere rashk-e-chaman ne
saman ko yasman ko arghawan ko

mere KHun ke nishan hain dho chuke sharm
jabin ko aastin ko aasman ko

KHiram-e-mah-wishan chakkar mein lae
zamana ko zamin ko aasman ko

tilism sanat bechun hai dekho
kafal ko saq ko mu-e-miyan ko

lab-e-noshin ne sikhlai halawat
shakar ko shahd ko qand-e-kalan ko

kiya ru-posh sharm-e-ru-e-but ne
jinan ko chashma-e-haiwan ko jaan ko

kahan hain ahl-e-fan laun kahan se
'naziri' ko 'zuhuri' ko 'bayan' ko