badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain
mohabbat ke tasawwur bhi nae sanchon mein Dhalte hain
tabassum jab kisi ka ruh mein tahlil hota hai
to dil ki bansuri se nit nae naghme nikalte hain
mohabbat jin ke dil ki dhaDkanon ko tez rakhti hai
wo aksar waqt ki raftar se aage bhi chalte hain
ujale ke pujari muzmahil kyun hain andhere se
ki ye tare nigalte hain to suraj bhi ugalte hain
inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi
jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain
mohabbat to talab ki rah mein ek aisi Thokar hai
ki jis se zindagi ki ret mein zamzam ubalte hain
ghubar-e-karwan hain wo na puchho iztirab un ka
kabhi aage bhi chalte hain kabhi pichhe bhi chalte hain
dilon ke naKHuda uTh kar sambhaalen kashtiyan apni
bahut se aise tufan 'mazhari' ke dil mein palte hain
Ghazal
Badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain
Jameel Mazhari