baDa aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo
agarche mehrban hai wo baDa aazar-e-jaan hai wo
misal-e-asman hai wo mujhe zarKHez karta hai
mujhe zarKHez karta hai misal-e-asman hai wo
karim-o-saeban hai wo mujhe mahfuz rakhta hai
mujhe mahfuz rakhta hai karim-o-saeban hai wo
agarche be-makan hai wo panahen mujh ko deta hai
panahen mujh ko deta hai agarche be-makan hai wo
baDa aaram-e-jaan hai wo liye phirta hai sine mein
liye phirta hai sine mein baDa aaram-e-jaan hai wo
agarche be-zaban hai wo nazar se baat karta hai
nazar se baat karta hai agarche be-zaban hai wo
ek aisa zahr-e-jaan hai wo main jis ko pi ke zinda hun
main jis ko pi ke zinda hun ek aisa zahr-e-jaan hai wo
ki bahr-e-be-karan hai wo tabhi sahil nahin milta
tabhi sahil nahin milta ki bahr-e-be-karan hai wo
mizaj-e-dushmanan hai wo paraya bhi hai apna bhi
paraya bhi hai apna bhi mizaj-e-dushmanan hai wo
kamal-e-dostan hai wo wahi awwal wahi aaKHir
wahi awwal wahi aaKHir kamal-e-dostan hai wo
amir-e-karwan hai wo main us ki rah chalta hun
main us ki rah chalta hun amir-e-karwan hai wo
baDa gauhar-fishan hai wo mujhe bhi kuchh guhar dega
mujhe bhi kuchh guhar dega baDa gauhar-fishan hai wo
sunahri kahkashan hai wo dahakte hain kai suraj
dahakte hain kai suraj sunahri kahkashan hai wo
suna hai mehrban hai wo 'anis' itraate phirte hain
'anis' itraate phirte hain suna hai mehrban hai wo
Ghazal
BaDa aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo
Anees Ansari