bachpan ka daur ahd-e-jawani mein kho gaya
ye amr-e-waqia bhi kahani mein kho gaya
lahron mein koi naqsha kahan paedar hai
suraj ke baad chand bhi pani mein kho gaya
aankhon tak aa saki na kabhi aansuon ki lahr
ye qafila bhi naql-e-makani mein kho gaya
ab bastiyan hain kis ke taaqub mein raat-din
dariya to aap apni rawani mein kho gaya
'tabish' ka kya kahen ki wo zohra-gudaz shaKHs
aatish-fishan ka phul tha pani mein kho gaya
Ghazal
Bachpan ka daur ahd-e-jawani mein kho gaya
Abbas Tabish