اردو हिंदी
Bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paD gaya | Shaahi Shayari
bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paD gaya

Ghazal

Bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paD gaya

Prabudha Saurabh

;

bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paD gaya
aur khul ke likh diya to sher mein zam paD gaya

waqt par nikle the aur ab tak pahunch jate bhi hum
bich mein lekin mua aamon ka mausam paD gaya

chaudhwin ki raat thi par chandni thirki nahin
dekh ghungru ki udasi chand maddham paD gaya

sang-e-marmar ki zamin par ek sikka yun gira
do ghaDi ko chhaTpaTaya aur be-dam paD gaya

is takalluf ke shahar mein log kanTon se chubhe
tu jo apna sa laga to dil pe marham paD gaya