bazar-e-zindagi mein jame kaise apna rang
hain mushtari ke taur na byopariyon ke Dhang
muddat se phir raha hun KHud apni talash mein
har lamha laD raha hun KHud apne KHilaf jang
ek nam lauh-e-zehn se miTta nahin hai kyun
kyun aaKHir is pe waqt chaDhata nahin hai rang
us se alag bhi umr to kaT hi gai magar
ek ek pal ke bojh se dukhta hai ang ang
shaKH-e-nihaal-e-zehn pe KHwabon ke phul the
hota na apna dast-e-junun kash zer-e-sang
aawaz ke hisar mein dil ab bhi qaid hai
mange hai ab bhi pairahan-e-lafz har umang
kuchh tajraba bhi ab to zamane ka ho gaya
kuchh dal ke bachpane se bhi hum aa gae hain tang
kucha-ba-kucha phirte hain ab is tarah 'bashar'
bhaTke hai jaise hath se TuTi hui patang
Ghazal
Bazar-e-zindagi mein jame kaise apna rang
Bashar Nawaz