اردو हिंदी
Baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai | Shaahi Shayari
baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai

Ghazal

Baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai

Aziz Nabeel

;

baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai
sab baaten phulon jaisi hain, aawaz madhur shahnai hai

ye bunden pahli barish ki, ye sondhi KHushbu maTi ki
ek koyal bagh mein kuki hai, aawaz yahan tak aai hai

badnam bahut hai rah-guzar, KHamosh nazar, bechain safar
ab gard jami hai aaankhon mein aur dur talak ruswai hai

dil ek musafir hai be-bas, jise noch rahe hain pesh-o-pas
ek dariya pichhe bahta hai aur aage gahri khai hai

ab KHwab nahin kam-KHwab nahin, kuchh jine ke asbab nahin
ab KHwahish ke talab pe har su mayusi ki kai hai

pahle kabhi mahfil jamti thi mahfil mein kahin tum hote the
ab kuchh bhi nahin yaadon ke siwa, bas main hun meri tanhai hai