baatin se sadaf ke dur-e-nayab khulenge
lekin ye manazir bhi tah-e-ab khulenge
diwar nahin parda-e-fan band-e-qaba hai
ek jumbish-e-angusht ki mahtab khulenge
kuchh nok-palak aur tahayyur ki sanwar jae
har jumbish-e-mizhgan mein nae bab khulenge
aaina-dar-aina khulega chaman-e-aks
tabir ke dar KHwab pas-e-KHwab khulenge
ho jaenge jab gharq sadaon ke safine
sunte hain KHamoshi ke ye girdab khulenge
kya un se samaat bhi guzar paegi ai 'saz'
wo dar jo tah-e-jumbish-e-mizrab khulenge
Ghazal
Baatin se sadaf ke dur-e-nayab khulenge
Abdul Ahad Saaz