baaten na kis ne hum ko kahin tere waste
aur hum ne bhi na kis ki sahin tere waste
hairan dar-ba-dar paDe phirte hain raat din
KHurshid o mah zohra-jabin tere waste
simab o barq o shola-e-jawwala aur ye dil
betab un mein kaun nahin tere waste
hum ne teri talash mein ai barq-wash kiya
yan ek aasman o zamin tere waste
shab soz-e-gham se shama-sifat be-qarariyan
kya kya na mere dil ko rahin tere waste
tu zeb-e-bazm-e-ghair raha aur main yahan
bhaTka phira kahin ka kahin tere waste
ye nale wo hain yaad rahe tu na gar mila
pahunchenge ta-ba arsh-e-barin tere waste
kuchh aur iKHtilaf ka bais nahin faqat
aalam mein hai chunan-o-chunin tere waste
fazl-e-KHuda se yaad rahe 'aish' nematen
maujud hongi dekh yahin tere waste
Ghazal
Baaten na kis ne hum ko kahin tere waste
Aish Dehlvi