baaten jo thin durust purane nisab mein
un mein se ek bhi to nahin hai kitab mein
mahrumiyon ne bazm sajai hai KHwab mein
sab ke alag alag hain manazir sarab mein
pani ki tarah ahl-e-hawas ne sharab pi
likkhi gai hai tishna-labon ke hisab mein
sab nam hain durust magar waqia ghalat
har baat sach nahin jo likhi hai kitab mein
sad-atisha agar ho tera rang-rup hai
jo rang phul mein hai nasha hai sharab mein
us ka to ek lafz bhi hum ko nahin hai yaad
kal raat ek sher kaha tha jo KHwab mein
kuchh sher shayad us ko pasand aa gae 'kamal'
honTon ke kuchh nishan hain tumhaari kitab mein
Ghazal
Baaten jo thin durust purane nisab mein
Kamal Ahmad Siddiqi