baat ye hai ki koi baat purani bhi nahin
aur is KHak mein ab koi nishani bhi nahin
ye to zahir mein tamawwuj tha bala ka lekin
ye badan mera jahan koi rawani bhi nahin
ya to ek mauj-e-bala-KHez hai meri KHatir
ya ki mashkiza-e-jaan mein kahin pani bhi nahin
baat ye hai ki sabhi bhai mere dushman hain
masala ye hai ki main yusuf-e-sani bhi nahin
sach to ye hai ki mere pas hi dirham kam hain
warna is shahr mein is darja girani bhi nahin
sare kirdar hain angusht-ba-dandan mujh mein
ab to kahne ko mere pas kahani bhi nahin
ek benam-o-nasab sach mera izhaar hua
warna alfaz mein wo sail-e-maani bhi nahin

Ghazal
Baat ye hai ki koi baat purani bhi nahin
Khalid Karrar