baat suraj ki koi aaj bani hai ki nahin
wo jo ek raat musalsal thi kaTi hai ki nahin
tere hathon mein to aaina wahi hai ki jo tha
sochta hun mera chehra bhi wahi hai ki nahin
mujh ko Takra ke ba-har-haal bikharna tha magar
wo jo diwar si hail thi giri hai ki nahin
us ka chehra hai ki mahtab wo aankhen hain ki jhil
baat us baat se aage bhi chali hai ki nahin
apne pahlu mein humakte hue sae na saja
kya KHabar un se ye milne ki ghaDi hai ki nahin
habs chehron pe to sadiyon se musallat hai magar
koi aandhi bhi kisi dil mein uThi hai ki nahin
puchhta phirta hun main bhagti kirnon se 'rashid'
us bhare shahr mein apna bhi koi hai ki nahin

Ghazal
Baat suraj ki koi aaj bani hai ki nahin
Rasheed Qaisrani