اردو हिंदी
Baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin | Shaahi Shayari
baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin

Ghazal

Baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin

Kausar Niyazi

;

baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin
apni taqsir hai ye gardish-e-ayyam nahin

ai masiha kabhi tu bhi to use dekhne aa
tere bimar ko sunte hain ki aaram nahin

ek wo jin ke tasarruf mein hain sab mai-KHane
ek hum jin ke liye durd-e-tah-e-jam nahin

mujh ko ye gham ki unhen dekhne wale hain bahut
un ko shikwa ki yahan zauq-e-nazar aam nahin

safar-e-ishq mubarak ho ki is mein 'kausar'
gham-e-aghaz nahin KHatra-e-anjam nahin