baat ima-o-ishaaraat se baDhi aap hi aap
us ki qurbat mein bahalne laga ji aap hi aap
taza kaliyon ke tabassum ka sabab kya hoga
aaya karti hai jawani mein hansi aap hi aap
zard hathon pe mohabbat ki lahu rang-e-hina
waqt aaya to rachi aur rachi aap hi aap
bas ki rakkha tha makan muddaton tum ne KHali
is mein bad-ruh koi basne lagi aap hi aap
rakh bante wahi chehra nahin dekha jata
jis ke shoale ki kabhi dhum machi aap hi aap
bint-e-hawwa kisi chehre se na dhoka khae
kenchuli sanp badalta hai nai aap hi aap
kash aisa bhi ho qimat na ada karni paDe
aur mil jae mujhe koi KHushi aap hi aap
Ghazal
Baat ima-o-ishaaraat se baDhi aap hi aap
Shabnam Shakeel