اردو हिंदी
Baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle | Shaahi Shayari
baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle

Ghazal

Baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle

Aatish Indori

;

baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle
phir ajab kya hai ki bachche bhi laDake nikle

dhyan man rakhti thi mera wo zamane nikle
hain yun ab roz sawere se kamane nikle

aam ke bagh se jab se hain parinde ghaeb
baad us ke kahan phir aam rasile nikle

poTli jis ke liye laDti rahin auladen
man ki us poTli mein sirf jharoke nikle

ye to kal-yug hai khara is mein nahin hain koi
mujh ko shikwa nahin sikke mere khoTe nikle

phir gharibon ki shikayat ka KHuda hafiz hain
jab waziron ke amiron hi se rishte nikle

gard jab saf hui sab ne ye manzar dekha
jo nazar aate the unche wahi baune nikle

ibtida phir se hai ek aur safar ki 'atish'
baad marne ke bhale pairon se jute nikle