barish mein ahd toD ke gar mai-kashi hui
tauba mari phiregi kahan bhigti hui
pesh aae lakh ranj agar ek KHushi hui
parwardigar ye bhi koi zindagi hui
achchha to donon waqt mile kosiye huzur
phir bhi mariz-e-gham ki agar zindagi hui
ai andalib apne nasheman ki KHair mang
bijli gai hai su-e-chaman dekhti hui
dekho charagh-e-qabr use kya jawab de
aaegi sham-e-hijr mujhe puchhti hui
qasid unhin ko ja ke diya tha hamara KHat
wo mil gae the un se koi baat bhi hui?
jab tak ki teri bazm mein chalta rahega jam
saqi rahegi gardish-e-dauran ruki hui
mana ki un se raat ka wada hai ai 'qamar'
kaise wo aa sakenge agar chandni hui
Ghazal
Barish mein ahd toD ke gar mai-kashi hui
Qamar Jalalvi