bar tujh hijr ka bhaari hai KHuda KHair kare
raat-din nala-o-zari hai KHuda KHair kare
saKHti-e-gham sen mere dil ka lahu pani ho
hashm-e-giryan sati jari hai KHuda KHair kare
kab mere chand ke aane sen ujala hoga
hijr ki raat andhaari hai KHuda KHair kare
chashm-e-KHun-rez teri ki hai ajab tund-nigah
hu-ba-hu ain kaTari hai KHuda KHair kare
dil-e-pur-ah sin mere wo sanam Darta nahin
kale nagon ki piTari hai KHuda KHair kare
bismil-e-ishq kun hargiz nahin ummid-e-hayat
zaKHm us tegh ka kari hai KHuda KHair kare
aashna shoala-e-duri sen hua jaan-e-'siraj'
kah kun aag sen yari hai KHuda KHair kare
Ghazal
Bar tujh hijr ka bhaari hai KHuda KHair kare
Siraj Aurangabadi

