اردو हिंदी
Baqi sab kuchh duniya mein be-mani hai | Shaahi Shayari
baqi sab kuchh duniya mein be-mani hai

Ghazal

Baqi sab kuchh duniya mein be-mani hai

Poonam Yadav

;

baqi sab kuchh duniya mein be-mani hai
meri nazar mein ek tu hi la-sani hai

roz badal kar chehre kyun dikhlata hai
teri har surat jaani-pahchani hai

sath rahe jyun koi kinare nadiya ke
qismat ki bhi dekho kya man-mani hai

dard ka mausam phir se lauTa hai shayad
aankhon ke dariya par KHub rawani hai

gham aansu tanhai shikwe bechaini
is duniya mein sab ki ek kahani hai