bandhte shaeri mein ho til ko 
kya koi ras aa gaya dil ko 
jaanti hain ki ab widai hai 
kashtiyan chumti hain sahil ko 
kaam sab ho gae mere aasan 
kaun samjhega meri mushkil ko 
panw mein aankh to nahin phir bhi 
dekhte hain qadam ye manzil ko 
sham hai main hun band kamra hai 
DhunDhte hain charag mahfil ko 
gham se ek umr ke marasim hain 
toD dun kaise main salasil ko 
dekh kar ro paDa meri haalat 
kaun sa gham hai mere qatil ko
        Ghazal
Bandhte shaeri mein ho til ko
Irshad Khan ’Sikandar’

