اردو हिंदी
Baal baal duniya par us ka hi ijara hai | Shaahi Shayari
baal baal duniya par us ka hi ijara hai

Ghazal

Baal baal duniya par us ka hi ijara hai

Zulfiqar Naqvi

;

baal baal duniya par us ka hi ijara hai
waqt KHali hathon se hum ne bhi guzara hai

ku-ba-ku barasta hai yam-ba-yam ubalta hai
KHun-e-adamiyat se naqsh la sanwara hai

le chalo charaghon ko kar ke KHun se raushan
dasht ki siyahi ne hum ko bhi pukara hai

zad-e-rah ka hum se kyun sawal karte ho
rahzanon ke narghe mein jab hamein utara hai

har-nafas qafas mein hon kaise man lun 'naqwi'
ab khuli fazaen hain aasman hamara hai