bais-e-tark-e-mulaqat batao to sahi 
chahne wala koi hum sa dikhao to sahi 
kaisi hoti hai mohabbat nahin malum tumhein 
ek do din kahin dil tum bhi lagao to sahi 
bewafai ki hai tohmat chalo mana hum ne 
han bhala hum se zara aankh milao to sahi 
jaan de dunga magar tum ko na jaane dunga 
uTh ke pahlu se bhala tum mere jao to sahi 
nahin milne ki jo marzi hai na milna hum se 
baat karna ki na karna magar aao to sahi 
dekh lo jite hain ya marte hain mushtaq sada 
apni aawaz zara un ko sunao to sahi 
har tarah bigDe hue baiThe hain jaane ke liye 
'asman' aaj koi baat banao to sahi
        Ghazal
Bais-e-tark-e-mulaqat batao to sahi
Mirza Asman Jah Anjum

