bahar bhi ab andar jaisa sannaTa hai 
dariya ke us par bhi gahra sannaTa hai 
shor thame to shayad sadiyan bit chuki hain 
ab tak lekin sahma sahma sannaTa hai 
kis se bolun ye to ek sahra hai jahan par 
main hun ya phir gunga bahra sannaTa hai 
jaise ek tufan se pahle ki KHamoshi 
aaj meri basti mein aisa sannaTa hai 
nai sahar ki chap na jaane kab ubhregi 
chaaron jaanib raat ka gahra sannaTa hai 
soch rahe ho socho lekin bol na paDna 
dekh rahe ho shahr mein kitna sannaTa hai 
mahw-e-KHwab hain sari dekhne wali aankhen 
jagne wala bas ek andha sannaTa hai 
Darna hai to an-jaani aawaz se Darna 
ye to 'anis' dekha-bhaala sannaTa hai
        Ghazal
Bahar bhi ab andar jaisa sannaTa hai
Aanis Moin

