baghban jashn-e-bahaaran nahin hone dete
dip ulfat ke farozan nahin hone dete
zahr ulfat ka pilate hain baDe faKHr ke sath
aap insan ko insan nahin hone dete
KHud-numai mein kuchh is tarah giraftar hain hum
aur logon ko numayan nahin hone dete
aql ko shoKHi-e-baatil mein phansane wale
qalb ko sahib-e-iman nahin hone dete
gham se nisbat hai jinhen zabt-e-alam karte hain
ashk ko zinat-e-daman nahin hone dete
ruh-e-afkar ko mear ata karte hain
hum KHayalat ko uryan nahin hone dete
chand lamhe wo mere samne rah kar 'abrar'
chashm-e-betab ko hairan nahin hone dete
Ghazal
Baghban jashn-e-bahaaran nahin hone dete
Abrar Kiratpuri