bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai
sar-e-duniya hai wo tufan ki ji jaanta hai
aur kya us ke siwa hasil rudad-e-jahan
KHak-o-KHun dast-o-gareban ki ji jaanta hai
roz-e-mahshar to na tha sham-e-mulaqat thi wo
yun hue be-sar-o-saman ki ji jaanta hai
mah-timsal tha ya KHanjar-e-uryan koi
yun hai paiwast-e-rag-e-jaan ki ji jaanta hai
dard hota to sar-e-sham sambhal bhi jata
dil hai wo lashkar-e-arman ki ji jaanta hai
be-sukuni ki talab hai nasha-e-qulzum-e-jaan
aab hai tishna-e-haijaan ki ji jaanta hai
tai kahan hoti hai rah-e-safar-e-na-malum
gham hai yun dida-e-hairan ki ji jaanta hai
Ghazal
Bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai
Syed Amin Ashraf