bagh mein tu kabhu jo hansta hai
ghuncha-e-dil mera bikasta hai
are be-mehr mujh ko rota chhoD
kahan jata hai meinh barasta hai
tere maron huon ki surat dekh
mera marne ko ji tarasta hai
teri tarwar se koi na bacha
ab kamar kis upar tu kasta hai
kyun mozahim hai mere aane se
kui tera ghar nahin ye rasta hai
meri fariyaad koi nahin sunta
koi is shahr mein bhi basta hai
'hatim' us zulf ki taraf mat dekh
jaan kar kyun bala mein phansta hai
Ghazal
Bagh mein tu kabhu jo hansta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim