bagh mein jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche
bilbilati hui gulzar mein bulbul pahunche
sadma-e-sham-e-ajal mujh ko na bilkul pahunche
gar meri dad ko kal tak bhi wo kakul pahunche
dil bhi le kar alam-e-ah muqabil pahuncha
neza-bazan-e-mizha jab ba-taghaful pahunche
mehr kucha tera jhaDe hai ba-jarub-e-shua
ki isi tarah baham tujh se tawassul pahunche
apna ye munh to na tha aap talak hum pahunchen
aap ka jab ki hua hum pe tafazzul pahunche
ham-rah-e-yas-o-alam dasht-e-junun mein kal hum
ba-tahammul ba-tammul ba-tajammul pahunche
gar tere wazn pe main sare qawafi bandhun
dam tera nak mein ai bab-e-tafawwul pahunche
KHana-abaad tumhaara ho ki hum hazrat-e-ishq
nafa ko tum se ba-ayyam-e-tawakkul pahunche
dard-o-gham yas-o-alam soz-e-dil o dagh-e-jigar
tohfe jo aap ne bheje hamein bilkul pahunche
jab gaya husn to aaya tere iKHlas ka bar
ab taraqqi hai tab ayyam-e-tanazzul pahunche
qahr ek rind pe qul pir-e-mughan ne tha paDha
sher ye hum ne suna sunne ko jab qul pahunche
tars-e-uqba hai to mai-KHana mein rah ai zahid
tab bacho wan jo baja kan mein qulqul pahunche
rashk-e-gul bagh mein baiTha tha to hum bhi 'ehsan'
ye ghazal paDhte hue wan ba-tajahul pahunche
Ghazal
Bagh mein jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi