baada-masti aa karamat ho ke maiKHane mein aa
chal pari shishe se uD kar mere paimane mein aa
dusra aisa kahan ai dasht KHalwat ka maqam
apni virani ko le kar mere virane mein aa
wahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi
tangi-e-zindan kisi pahlu se diwane mein aa
kar murattab kuchh nae andaz se apna bayan
marne wale zindagi chahe to afsane mein aa
chal nikal jaen idhar se apni duniya ki taraf
han tu ai tar-e-nafas tasbih ke dane mein aa
pel zor aape se bahar ho ke jaega kahan
aadmi ban aadmi aa apne paimane mein aa
daman-e-fanus mein ai shama KHud-dari nahin
kiswat-e-namus agar chahe to parwane mein aa
KHatm karna chahta hun pech-o-tab-e-zindagi
yaad-e-gesu zor-e-bazu ban mere shane mein aa
ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaba 'natiq' ab to aam
barhaman bhi mujh se kahta hai ki but-KHane mein aa
Ghazal
Baada-masti aa karamat ho ke maiKHane mein aa
Natiq Gulavthi