baad muddat ke ye hua malum
jo hai malum wo hai na-malum
kis ne khoe hain hosh kya malum
kaun kafir hai ye KHuda malum
hum ko manzil ki hai talash bahut
go nahin us ka rasta malum
dil mein ek dard ki kasak si thi
ab hui us ki intiha malum
justaju-e-hazar ke ba-wasf
kuchh hua kuchh nahin hua malum
raaz-e-kaunain usi pe fash nahin
jis ne samjha ki ho gaya malum
us ko qudrat ne di giran-goshi
jis ko hai saz ki sada malum
dard se wasta hai dard se kaam
go hai is dard ki dawa malum
'arsh' wo mujh ko chhoDte hi nahin
ab hui jurm ki saza malum
Ghazal
Baad muddat ke ye hua malum
Arsh Malsiyani