اردو हिंदी
Baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye | Shaahi Shayari
baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye

Ghazal

Baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye

Hakeem Mohammad Husain Ahqar

;

baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye
ban gaya kunj-e-qafas ab aashiyan mere liye

zahido tum ko mubarak KHana-kaba rahe
kafi hai sajde ko sang-e-astan mere liye

saghar-o-mina subu-o-jam ka ab zikr kya
dushman-e-jaan ho gaya pir-e-mughan mere liye

wah re gardun-e-gardan tera shauq-e-intizam
ho gai hai zindagi bar-e-garan mere liye

dard-e-dil kahne ko aaya hun sarapa dard hun
ho ata kuchh waqt bahr-e-dastan mere liye

hasrat-e-sozan se takti hai use barq-e-tapan
shaKH-e-gulshan par bana jo aashiyan mere liye