baad-e-sahra ko rah-e-shahr pe Dala kis ne
tar-e-wahshat ko gareban se nikala kis ne
muKHtasar baat thi, phaili kyun saba ki manind
dard-mandon ka fasana tha, uchhaala kis ne
bastiyon wale to KHud oDh ke patte, soe
dil-e-awara tujhe raat sambhaala kis ne
aag phulon ki talab mein thi, hawaon pe ruki
nazr-e-jaan kis ki hui, rah se Tala kis ne
kanch ki rah pe ek rasm-e-safar thi mujh se
baad mere buna har gam pe jala kis ne
Ghazal
Baad-e-sahra ko rah-e-shahr pe Dala kis ne
Ali Akbar Natiq