اردو हिंदी
Baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua | Shaahi Shayari
baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua

Ghazal

Baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua
aap hi jab rahe nahin nam raha to kya hua

chashm se kya hai faeda dil mein na ho jo zauq-e-did
shishe mein mai na jab rahe jam raha to kya hua

hum se gharib bhi bhala mujre ke baryab hon
izn tera kabhi kabhi aam raha to kya hua

ghair-e-wafa mein puKHta hain yun hi sahi pa mujh sa bhi
ek teri janab mein KHam raha to kya hua

ram to tera sabhon se hai ai but-e-man hiran bhala
apne 'huzur' se kabhi ram raha to kya hua