اردو हिंदी
Bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise | Shaahi Shayari
bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

Ghazal

Bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

Daem Gawwasi

;

bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise
gum-shuda beTe ki muztar koi man ho jaise

us ki mumtaz ki rudad-e-mohabbat likh dun
aise kahta hai koi shah-jahan ho jaise

guftugu mein wo halawat wo amal mein iKHlas
us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise

us ki duzdida-nigahi ke hain sab hi ghayal
koi sayyaad liye tir-o-kaman ho jaise

mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak
tujh ko ye zoam tere ghar ki zaban ho jaise

hum ko rakhti hai nishane pe siyasat un ki
ghar jalane pe ba-zid barq-e-tapan ho jaise

us ke aate hi sanam-KHanon ke but bol uThe
mashriqon mein koi ejaz-e-bayan ho jaise

yun teri zulf ki KHushbu hai sar-e-sham uDi
kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawan ho jaise

tere ashaar utar aate hain 'daem' dil mein
haq-paraston ke liye saut-e-azan ho jaise