ba-KHabar tha ek nazar mein do-jahan le jaega
meri jaan ban kar wo ek din meri jaan le jaega
aaKHri hichki se pahle chaara-gar se puchh lun
jo nazar aata nahin rishta kahan le jaega
mai-kada dair-o-haram ya koi diwanon ki bazm
tujh se ye bichhDa hua lamha kahan le jaega
wo jo pichhle sal sab kheton ko sona de gaya
ab ke wo tufan kis kis ka makan le jaega
wo chala jaega mujh se kar ke iqrar-e-wafa
toD jaega safina baadban le jaega
ishq mein us ne jalana hi nahin sikha kabhi
aag de jaega mujh ko KHud dhuan le jaega

Ghazal
Ba-KHabar tha ek nazar mein do-jahan le jaega
Qamar Jalalabadi