ba-zahir to tanawar dikh rahe hain
magar ye peD sare khokhle hain
ye kis shama ki chahat mein patinge
barahna panw suraj par khaDe hain
ghazal kitni apahij ho gai hai
ghazal ke dast-o-bazu kah rahe hain
dararen jism ki khulne lagi hain
lahu ke qatre bar-amad hue hain
har ek jaanib hai tariki ka jangal
ujale rasta bhaTke hue hain
'nawaz' us ki gali ke sare patthar
mujhe achchhi tarah pahchante hain
Ghazal
Ba-zahir to tanawar dikh rahe hain
Nawaz Asimi