ba-tarz-e-dilbari be-dad kije
jafaon mein ada ijad kije
hamari aajizi eajaz ho jae
payambar hun agar aazad kije
ye kaisa aalam-e-baala ka jhagDa
aji pahlu mera aabaad kije
lahu mal kar shahidon mein mile hain
hamare nam par bhi sad kije
tamanna baDh na jae had se zaed
hamein shah-e-najaf ab yaad kije
hamari KHak se sahra bhare hain
jahan tak chahiye barbaad kije
ishaaron ne to le li jaan sahib
zara munh se bhi kuchh irshad kije
pareshan hai bahut 'anjum' KHudara
shahid-e-karbala imdad kije
mizaj-e-yar ho jae na barham
na ai 'anjum' bahut fariyaad kije
Ghazal
Ba-tarz-e-dilbari be-dad kije
Mirza Asman Jah Anjum