اردو हिंदी
Ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai | Shaahi Shayari
ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai

Ghazal

Ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai

Shahram Sarmadi

;

ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai
wo jaise yaad-e-mazafat mein chhupa sa hai

kabhi talash kiya to wahin mila hai wo
nafas ki aamad-o-shud mein jahan KHala sa hai

ye tare kis liye aanhken bichhae baiThe hain
hamein to jagte rahne ka aariza sa hai

ye kaenat agar waisi ho to kya hoga
hamare zehn mein KHaka jo ek bana sa hai

zamin madar pe raqsan hai subh o sham mudam
kure ke chaar taraf ek muhasara sa hai