ba-qadr-e-josh-e-junun tar tar bhi na kiya
wo pairahan jise nazr-e-bahaar bhi na kiya
koi jawab hai is tarz-e-dil-rubai ka
sukun bhi luT liya be-qarar bhi na kiya
dil-e-KHarab sar-e-ku-e-yar le aaya
KHayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar bhi na kiya
guzar gaya yunhi chup-chap karwan-e-bahaar
nawed-e-gul bhi na di dil-figar bhi na kiya
KHayal-e-KHatir-e-ahbab aur kya karte
jigar pe zaKHm bhi khae shumar bhi na kiya

Ghazal
Ba-qadr-e-josh-e-junun tar tar bhi na kiya
Qabil Ajmeri