اردو हिंदी
Ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega | Shaahi Shayari
ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega

Ghazal

Ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega

Naseem Sahar

;

ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega
na jaane aaj yahan kaun mara jaega

liye hue hain sabhi apna sar hatheli par
kise KHabar hai kahan kaun mara jaega

ajib marka barpa hai, kuchh KHabar hi nahin
kise milegi aman kaun mara jaega

namaz paDhne ki mohlat mile, mile na mile!
na jaane waqt-e-azan kaun mara jaega

jo tir bhi hai, itaat-guzar hai us ka
ye jaanti hai kaman kaun mara jaega

kiye gae hain jo itne hifazati iqdam
ye dekhna hai yahan kaun mara jaega

kisi ke lab pe 'nasim'-e-sahar dua kaisi
yahi hai wird-e-zaban kaun mara jaega