اردو हिंदी
Ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai | Shaahi Shayari
ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai

Ghazal

Ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

;

ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai
ki jaan de kar bhi insan ko yahan nakaam dekha hai

jahan pahunchi hain parde chaak kar ke ishq ki nazren
kahan tu ne wo manzar ai nigah-e-am dekha hai

nigah-e-yar ko barham kiya hai main ne KHud akasr
kabhi jo dard ko dil ke zara aaram dekha hai

labon tak mere baDh ke KHud hi aa pahuncha hai ai saqi
nazar bhar kar kabhi main ne jo su-e-jam dekha hai

kiya hai munkir-o-sarkash ko bhi sairab duniya mein
tere abr-e-karam ne kis ko tishna-kaam dekha hai

dil-o-jaan kar diye nazr-e-nigah-e-naz bas main ne
na kuchh aaghaz dekha hai na kuchh anjam dekha hai

mariz-e-gham ki haalat dekhne wale ye kahte hain
ki be-hoshi mein bhi lab par tumhaara nam dekha hai

ye apni muKHtasar hai 'ashk' rudad-e-rah-e-ulfat
ki bas nakaamiyon ko sath har har gam dekha hai