اردو हिंदी
Azm-e-safar se pahle bhi aur KHatm-e-safar se aage bhi | Shaahi Shayari
azm-e-safar se pahle bhi aur KHatm-e-safar se aage bhi

Ghazal

Azm-e-safar se pahle bhi aur KHatm-e-safar se aage bhi

Haneef akhgar

;

azm-e-safar se pahle bhi aur KHatm-e-safar se aage bhi
rahguzar hi rahguzar hai rahguzar se aage bhi

tab-e-nazar to shart hai lekin hadd-e-nazar kyun hail hai
jalwa-fagan to jalwa-fagan hai hadd-e-nazar se aage bhi

subh-e-azal se sham-e-abad tak mere hi dam se raunaq hai
is manzar se us manzar tak us manzar se aage bhi

wahm-o-guman se ilm-o-yaqin tak saikDon nazuk moD aae
ru-e-zamin se shams-o-qamar tak shams-o-qamar se aage bhi

dil se dua nikle to yaqinan bab-e-asar tak pahunchegi
aah jo nikle dil se to pahunche bab-e-asar se aage bhi

dida-e-tar ka ab to 'aKHgar' ek hi aalam rahta hai
nala-e-shab se aah-e-sahar tak aah-e-sahar se aage bhi