aziyyat us ki zehni dur kar de
use bhi ai KHuda mashhur kar de
isi mein fath ka teri hai imkan
mujhe ghar mein mere mahsur kar de
ye chehre ye fareb-alud chehre
inhen koi nazar se dur kar de
adab kis ka wahan aadab kaise
banawaT dil mein jab nasur kar de
wahi tazim ke laeq hai 'azhar'
jo KHud tazim par majbur kar de
Ghazal
Aziyyat uski zehni dur kar de
Azhar Inayati