اردو हिंदी
Azizo tum na kuchh usko kaho hua so hua | Shaahi Shayari
azizo tum na kuchh usko kaho hua so hua

Ghazal

Azizo tum na kuchh usko kaho hua so hua

Hasrat Azimabadi

;

azizo tum na kuchh us ko kaho hua so hua
nipaT hi tund hai zalim ki KHu hua so hua

KHata se us ki nahin nam ko ghubar-e-malal
main ro ro Dala hai sab dil se dho hua so hua

meri KHata ya jafa thi teri ye kya hai zikr
hua jo chahiye phir to na ho hua so hua

hanse hai dil mein ye na-dardmand sab sun sun
to dukh ko ishq ke ai dil na ro hua so hua

sitamgaro jo tumhein rahm ki ho kuchh taufiq
sitam ki apne talafi karo hua so hua

tu kaun hai ki ho milne se ghair kai mane
dil us ko hath se apne na kho hua so hua

na sarguzisht meri puchh mujh se kuchh ai baKHt
tu apne KHwab-e-faraghat mein so hua so hua

mohabbat ek tarah ki niri samajat hai
main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua

bayan-e-haal se rukta hai 'hasrat' ab yaro
na puchho us se na kuchh tum kaho hua so hua