azdawaji zindagi bhi aur tijarat bhi adab bhi
kitna kar-amad hai sab kuchh aur kaisa be-sabab bhi
jis ke ek ek harf-e-shirin ka asar hai zahr-agin
kya hikayat likh gae mere labon par us ke lab bhi
umr bhar tar-e-nafas ek hijr hi ka silsila hai
wo na mil pae agar to aur agar mil jae tab bhi
log achchhe zindagi pyari hai duniya KHubsurat
aah kaisi KHush-kalami kar rahi hai ruh-e-shab bhi
lafz par mafhum us lamhe kuchh aisa multafit hai
jaise az-KHud ho inayat bosa-e-lab be-talab bhi
na-tawan kam-zarf isyan kar-e-jahil aur kya kya
pyar se mujh ko bulata hai wo mera KHush-laqab bhi
hum bhi hain pabandi-e-izhaar se bezar lekin
kuchh saliqa to suKHan ka ho hunar ka koi Dhab bhi
nam nisbat milkiyyat kuchh bhi nahin baqi agarche
'saz' us kuche mein mera ghar hua karta hai ab bhi
Ghazal
Azdawaji zindagi bhi aur tijarat bhi adab bhi
Abdul Ahad Saaz