azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai
isi se hum ko nai dastan banani hai
ujaD to sakta hai lekin badal nahin sakta
wo haq-shanas jo ek ahd ki nishani hai
KHirad ki baaten kahan tak karoge diwano
KHirad ke nam pe kuchh KHak bhi uDani hai
tumhaare rang-e-jafa ko bhi hai qayam kahin
hamare ishq ki manzil to kaamrani hai
faqat samajhne ke andaz hain qadim o jadid
fasana-go ke to lab par wahi kahani hai
hayat lakh ho fani magar ye sun rakhiye
hayat se jo hai maqsud ghair-fani hai
suni-sunai pe tarjih lakh bar us ko
kitab-e-dil ki 'raza' baat aasmani hai
Ghazal
Azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai
Kalidas Gupta Raza