azal se band darwaza khula to
main apni zat mein daKHil hua to
muKHalif ho gae markaz ke lekin
agar TuTa na hum se daera to
satata hai mujhe ye Dar barabar
main apne aap se ukta gaya to
samundar oDh kar so jaenge hum
ye ghota bhi agar KHali gaya to
judai lafz sun kar kanp uTThe
agar ye zahr pina paD gaya to
main koh-e-shab ki choTi par khaDa hun
ab agla panw ghaflat mein paDa to
Ghazal
Azal se band darwaza khula to
Vikas Sharma Raaz