azab ho gai zanjir-e-dast-o-pa mujh ko
jo ho sake to kahin dar pe chaDha mujh ko
taras gaya hun main suraj ki raushni ke liye
wo di hai saya-e-diwar ne saza mujh ko
jo dekhe to isi se hai zindagi mere
magar miTa bhi rahi hai yahi hawa mujh ko
usi nazar ne mujhe toD kar bikher diya
usi nazar ne banaya tha aaina mujh ko
sarab-e-umr-e-tamanna ki tishnagi hun main
agar hai chashma-e-faiyaz to bujha mujh ko
kabhi to apne badan ke charagh raushan kar
kabhi to apne lahu se bhi aazma mujh ko

Ghazal
Azab ho gai zanjir-e-dast-o-pa mujhko
Mughni Tabassum