azab-e-hijr se anjaan thoDi hota hai
ye dil ab itna bhi nadan thoDi hota hai
ye zindagi hai bahut kuchh yahan pe mumkin hai
ki kuchh na hone ka imkan thoDi hota hai
ye dil ke zaKHm chhupa kar jo muskuraate hain
to mere dost ye aasan thoDi hota hai
kabhi-kabhaar to bidat bhi ho hi jati hai
har ek lamha tera dhyan thoDi hota hai
wo jis ke pas mohabbat bhi ho, wafa bhi ho
bhala wo be-sar-o-saman thoDi hota hai
teri wafa mein kami kuchh to aai hai ki ye dil
bila-jawaz pareshan thoDi hota hai
idhar udhar se dalilen uThani paD jaen
jo itna kachcha ho, iman thoDi hota hai

Ghazal
Azab-e-hijr se anjaan thoDi hota hai
Naheed Virk