azab-e-did mein aankhen lahu lahu kar ke 
main sharmsar hua teri justuju kar ke 
khanDar ki tah se burida-badan saron ke siwa 
mila na kuchh bhi KHazanon ki aarzu kar ke 
suna hai shahar mein zaKHmi dilon ka mela hai 
chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke 
masafat-e-shab-e-hijran ke baad bhed khula 
hawa dukhi hai charaghon ki aabru kar ke 
zamin ki pyas usi ke lahu ko chaT gai 
wo KHush hua tha samundar ko aabju kar ke 
ye kis ne hum se lahu ka KHiraj phir manga 
abhi to soe the maqtal ko surKH-ru kar ke 
julus-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai 
nishan-e-tauq-e-wafa zinat-e-gulu kar ke 
ujaD rut ko gulabi banae rakhti hai 
hamari aankh teri did se wuzu kar ke 
koi to habs-e-hawa se ye puchhta 'mohsin' 
mila hai kya use kaliyon ko be-numu kar ke
        Ghazal
Azab-e-did mein aankhen lahu lahu kar ke
Mohsin Naqvi

