ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai
diye mein ek nai si raushni hone lagi hai
nai kuchh hasraten dil mein basera kar rahi hain
bahut aabaad ab dil ki gali hone lagi hai
so tai paya masaib zindagi ke kam na honge
magar kam zindagi se zindagi hone lagi hai
udhar tar-e-nafas se aa mili hai raunaq-e-zist
idhar kam mohlati mein bhi kami hone lagi hai
sar-e-aghaz dil ki dastan mein wo nahin tha
magar mahsus ab us ki kami hone lagi hai
hamari dosti ka dam bharen aise kahan hain
zamane sab se teri dosti hone lagi hai
Ghazal
Ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai
Pirzada Qasim